Dear friend, Adaab. Thanks for visiting this blog of my Urdu poems, chiefly Ghazals and some Nazms too. Here you can read Urdu poems in Urdu script itself. I am sure you will relish these poems and would like to visit this blog again and again. Please click on the links to open larger images of the poems. I shall be grateful for your valuable comments also. Shukria. Dost Mohammed Khan.
Tuesday, October 28, 2008
Monday, October 20, 2008
Wednesday, October 15, 2008
Khwab Dekha Karo (in Roman)
KHWAAB DEKHA KARO!
Tum jahaN bhi raho, aur jaise raho
Khwaab dekha karo, khwaab dekha karo!
Roshni ke liye, zindagi ke liye, zakhm-khurda dilon ki khushi ke liye,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Hijr ki raat mein, dasht e zulmaat mein, ranj-o-sadmaat mein,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Zindagi sakht ho ya ke aasaan ho, ye zaruri hai har dil mein armaan ho,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Champai subha ke, surmai shaam ke, Zulf-e-shab taab, roo-e-dilaraam ke,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Khwaab sachche sunehre zamaane ke hoN, khwaab haNsne ke hoN, muskuraane ke hoN,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Chaahe is zindagi ko badal na sako, apne khwaaboN ke saaye meiN chal na sako,
Khwaab dekha karo! Khwaab dekha karo!!
Khwaab marham bhi haiN, khwaab darmaaN bhi haiN, khwaab dukh ko bhulaane ka saamaaN bhi haiN,

Tuesday, October 14, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)